fasurda-dil hai nazroñ kī pareshānī nahīñ jaatī
ki ab tasvīr merī mujh se pahchānī nahīñ jaatī
tumhārī hī galī meñ umr kaT jaa.e to behtar hai
ki mujh se dar-ba-dar kī ḳhaak ab chhānī nahīñ jaatī
ġhulāmī ne tumhārī vo atā kī hai mujhe azmat
ki shāhī meñ bhī dil se ḳhū-e-darbānī nahīñ jaatī
kahīñ lākhoñ kā gumbad hai ba-shakl-e-sā.ebāñ sar par
kahīñ ik chādar-e-bosīda jo taanī nahīñ jaatī
payām-e-marg dete haiñ hazāroñ hādse phir bhī
hamārī qaum kī 'sāhil' tan-āsānī nahīñ jaatī