tasavvur meñ bhī jis kī justujū kartā hai dil merā
usī se hijr meñ bhī guftugū kartā hai dil merā
nadāmat se gunāhoñ par jo rotī haiñ kabhī āñkheñ
inhī pākīza ashkoñ se vuzū kartā hai dil merā
tirī yādoñ ke ḳhanjar zehn ko jab chaak karte haiñ
use jhūTī tasallī se rafū kartā hai dil merā
jasārat dekhne kī jis ko koī bhī nahīñ kartā
usī se do-do bāteñ rū-ba-rū kartā hai dil merā
guzāre the jo mad-hoshī ke aalam meñ kabhī 'sāhil'
unhī lamhoñ kī phir se aarzū kartā hai dil merā