mire din kī tarah raushan mirī har raat hotī hai
duā maañ kī har ik mausam meñ mere saath hotī hai
ajab dastūr hai ik ye bhī iz.hār-e-mohabbat kā
zabāñ ḳhāmosh rahtī hai nazar se baat hotī hai
talāsh-e-rizq meñ jab bhī kabhī ghar se nikaltā huuñ
mire hamrāh paiham gardish-e-hālāt hotī hai
bhalā ilzām koī dushmanī par kyā rakhā jaa.e
ki ab to dostī hī bā.is-e-sadmāt hotī hai
rahūñ maiñ koī aalam koī hālat meñ magar 'sāhil'
mire pesh-e-nazar to bas ḳhudā kī zaat hotī hai