muqaddar ne kahāñ koī nayā paiġhām likkhā hai
azal hī se varaq par dil ke terā naam likkhā hai
qadam meñ jānib-e-manzil baḌhā.ūñ kyā ki qismat ne
jahāñ āġhāz likkhā thā vahīñ anjām likhā hai
shikāyat kyā karūñ saaqī se maiñ us ke taġhāful kī
mire hoñToñ ke hisse hī meñ ḳhālī jaam likkhā hai
hameñ haiñ muntaḳhab roz-e-azal se dard kī ḳhātir
hamāre nāma-e-qismat meñ har ilzām likkhā hai
musalsal ġham musalsal dard se tañg aa ke ai 'sāhil'
ham aise ahl-e-furqat ne sahar ko shaam likkhā hai