Nadiya ambar lodhi

zamin lapeTta hai aasman sameTta hai

Nadiya ambar lodhi

zamīñ lapeTtā hai āsmāñ sameTtā hai
kahāñ kī baat ko ye dil kahāñ sameTtā hai
husain rif.ateñ taqsīm kartā hai ab bhī
yazīd aaj bhī rusvā.iyāñ sameTtā hai
vahīñ pe gardisheñ ruk saktī haiñ zamāne kī
vo jast bhartā hai aur par jahāñ sameTtā hai
use batānā ki tum jab kahīñ bhī TūTte ho
tumhārī kirchiyāñ koī yahāñ sameTtā hai
kisī meñ 'nādiya' juz ishq itnā zarf kahāñ
hai kaun bikhre diloñ ko jo yaañ sameTtā hai
Top Urdushayar.com