vo ghar tinkoñ se banvāyā gayā hai
vahāñ har ḳhvāb dafnāyā gayā hai
mirī ulfat ko kyā samjhegā koī
sabaq nafrat kā dohrāyā gayā hai
mire andar kā chehra muḳhtalif hai
badan pe aur kuchh paayā gayā hai
huī hai zindagī uftād aise
havas meñ har mazā paayā gayā hai
kahī aisī hai 'amabar' us kī har baat
shikasta-dil ko taḌpāyā gayā hai