Nadiya ambar lodhi

sim-o-zar ki koi tanwir nahin chahti main

Nadiya ambar lodhi

sīm-o-zar kī koī tanvīr nahīñ chāhtī maiñ
kisī shahzādī sī taqdīr nahīñ chāhtī maiñ
maktab-e-ishq se vābasta huuñ kaafī hai mujhe
dād-e-'ġhālib' sanad-e-'mīr' nahīñ chāhtī maiñ
faizyābī tirī sohbat hī se miltī hai mujhe
kab tire ishq kī tāsīr nahīñ chāhtī maiñ
qaid ab vasl ke zindāñ meñ tū kar le mujh ko
ye tire hijr kī zanjīr nahīñ chāhtī maiñ
mujh ko itnī bhī na sikhlā tū nishāna baazī
tujh pe chal jaa.e mirā tiir nahīñ chāhtī maiñ
ab to aatā nahīñ 'amabar' vo kabhī sapne meñ
ab kisī ḳhvāb kī ta.abīr nahīñ chāhtī maiñ
Top Urdushayar.com