dard aur ġham ke maare nikle raat safar sahrā aur maiñ
ek hī jañg ke haare nikle raat safar sahrā aur maiñ
dukh kī chādar taan ke ham ne hijr kī raat guzārī thī
aañsū jugnū taare nikle raat safar sahrā aur maiñ
ġharq hue phir mauj-e-fanā meñ ik ik kar ke sab ke sab
dekho faanī saare nikle raat safar sahrā aur maiñ
ham ne jis kī buniyādoñ meñ saañs kā siisa Daalā thā
miTTī ret aur gaare nikle raat safar sahrā aur maiñ
maiñ ne sochā thā ki ye 'amabar' qismat merī badal deñge
mujh se bichhaḌ ke ye saare nikle raat safar sahrā aur maiñ