āñkhoñ ko ik ḳhvāb dikhāyā jā saktā hai
qissa yūsuf kā dohrāyā jā saktā hai
saarī duniyā ko Thukrāyā jā saktā hai
husn-o-ishq duā se paayā jā saktā hai
jo mujh meñ ho zuleḳhā tujh meñ yūsuf koī
umroñ kā sarmāya laayā jā saktā hai
us ko kahnā mirī āñkhoñ ke kaase meñ
diid kā ik sikka to dikhāyā jā saktā hai
nādāñ itnā mat samjho tum dil ko 'amabar'
kab yādoñ se ise bahlāyā jā saktā hai