Aslam Kolsarii

yar ko dida-e-KHun-bar se ojhal kar ke

Aslam Kolsarii

Okara, Punjab, Pakistan

1946-2016
yaar ko dīda-e-ḳhūñ-bār se ojhal kar ke
mujh ko hālāt ne maarā hai mukammal kar ke
jānib-e-shahr faqīroñ kī tarah koh-e-girāñ
pheñk detā hai buḳhārāt ko bādal kar ke
jal uTheñ ruuh ke ghaav to chhiḌak detā huuñ
chāñdnī meñ tirī yādoñ kī mahak hal kar ke
dil vo majzūb muġhannī ki jalā detā hai
ek hī aah se har ḳhvāb ko jal-thal kar ke
jaane kis lamha-e-vahshī kī talab hai ki falak
dekhnā chāhe mire shahr ko jañgal kar ke
ya.anī tartīb-e-karam kā bhī salīqa thā use
us ne patthar bhī uThāyā mujhe pāgal kar ke
iid kā din hai so kamre meñ paḌā huuñ 'aslam'
apne darvāze ko bāhar se muqaffal kar ke
Top Urdushayar.com