qarīb aa ke bhī ik shaḳhs ho sakā na mirā
yahī hai merī haqīqat yahī fasāna mirā
ye aur baat ki mujh ko na mil sakā ab tak
tire jahāñ meñ kahīñ hai sahī Thikāna mirā
charāġh kahne lagā phir havā ke jhoñke se
ye ehtimām to ai dost hai tirā na mirā
so ab tū bazm-e-tamannā meñ tā.irāna chahak!
tire dimāġh pe halkā sā bojh thā na mirā?
abhī to guuñj rahe haiñ badan meñ sho.ale se
abhī to ḳhaam hai andāz-e-āshiqāna mirā
kahāñ majāl ki marzī se phaḌphaḌā bhī sukūñ
qafas-misāl hai 'aslam' ye āshiyāna mirā