Aslam Kolsarii

dil-e-pur-KHun ko yaadon se ulajhta chhoD dete hain

Aslam Kolsarii

Okara, Punjab, Pakistan

1946-2016
dil-e-pur-ḳhūñ ko yādoñ se ulajhtā chhoḌ dete haiñ
ham is vahshī ko jañgal meñ akelā chhoḌ dete haiñ
na jaane kab koī bhīge hue manzar meñ aa nikle
dayār-e-ashk meñ palkeñ jhapaknā chhoḌ dete haiñ
use bhī dekhnā hai apnā me.ār-e-pazīrā.ī
chalā aa.e to kyā kahnā taqāzā chhoḌ dete haiñ
ġhamoñ kī bhiiḌ jab bhī qarya-e-jāñ kī taraf aa.e
bilakte ḳhvāb ḳhāmoshī se rasta chhoḌ dete haiñ
kisī kī yaad se dil ko munavvar tak nahīñ karnā
isī kā naam duniyā hai to duniyā chhoḌ dete haiñ
hameñ ḳhushbū kī sūrat dasht-e-hastī se guzarnā thā
achānak yuuñ huā lekin ye qissa chhoḌ dete haiñ
zarā se ashk meñ chhup kar un āñkhoñ meñ nahīñ rahnā
chalo 'aslam' hamī kū-e-tamannā chhoḌ dete haiñ
Top Urdushayar.com