Aslam Kolsarii

bikhre bikhre baal aur surat khoi khoi

Aslam Kolsarii

Okara, Punjab, Pakistan

1946-2016
bikhre bikhre baal aur sūrat khoī khoī
man ghāyal kartī haiñ āñkheñ roī roī
malbe ke nīche se niklā maañ kā lāsha
aur maañ kī godī meñ bachchī soī soī
ek larazte pal meñ banjar ho jaatī haiñ
āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kī fasleñ boī boī
sard havā.eñ shahroñ shahroñ chīḳheñ laa.eñ
marham marham ḳhema ḳhema loī loī
maiñ to pahle hī se baar liye phirtā huuñ
tan ke andar apnī jindḌī moī moī
jīvan kā sailāb umaDtā hī aatā hai
lekin Dhor hazāroñ banda koī koī
raat ākāsh ne itne ashk bahā.e 'aslam'
saarī hī dhartī lagtī hai dhoī dhoī
Top Urdushayar.com