Aslam Kolsarii

nazar ko waqf-e-hairat kar diya hai

Aslam Kolsarii

Okara, Punjab, Pakistan

1946-2016
nazar ko vaqf-e-hairat kar diyā hai
use bhī dil se ruḳhsat kar diyā hai
barā.e-nām thā ārām jis ko
ġhazal kah kar musībat kar diyā hai
samajhte haiñ kahāñ patthar kisī kī
magar itmām-e-hujjat kar diyā hai
galī-kūchoñ meñ jaltī raushnī ne
hasīñ shāmoñ ko shāmat kar diyā hai
basīrat ek daulat hī thī āḳhir
so daulat ko basīrat kar diyā hai
ka.ī hamdam nikal aa.e haiñ jab se
zabāñ ko sirf ġhībat kar diyā hai
suḳhan ke baab meñ bhī ham ne 'aslam'
jo karnā thā ba-ujlat kar diyā hai
Top Urdushayar.com