Aslam Kolsarii

har-chand be-nawa hai kore ghaDe ka pani

Aslam Kolsarii

Okara, Punjab, Pakistan

1946-2016
har-chand be-navā hai kore ghaḌe kā paanī
dīvān 'mīr' kā hai kore ghaḌe kā paanī
uploñ kī aag ab tak hāthoñ se jhāñktī hai
āñkhoñ meñ jāgtā hai kore ghaḌe kā paanī
jab māñgte haiñ saare añgūr ke sharāre
apnī yahī sadā hai kore ghaḌe kā paanī
kāġhaz pe kaise Thahreñ misre mirī ġhazal ke
lafzoñ meñ bah rahā hai kore ghaḌe kā paanī
ḳhāna-ba-dosh chhorī taktī hai chorī chorī
us kā to aa.ina hai kore ghaḌe kā paanī
chiḌiyoñ sī chahchahā.eñ panghaT pe jab bhī sakhiyāñ
chup-chāp ro diyā hai kore ghaḌe kā paanī
us ke lahū meñ shāyad tāsīr ho vafā kī
jis ne kabhī piyā hai kore ghaḌe kā paanī
izzat zamīr mehnat dānish hunar mohabbat
lekin kabhī bikā hai kore ghaḌe kā paanī
dekhūñ jo chāñdnī meñ lagtā hai mujh ko 'aslam'
pighlī huī duā hai kore ghaḌe kā paanī
Top Urdushayar.com