siine meñ sulagte hue lamhāt kā jañgal
kis tarah kaTe tāroñ bharī raat kā jañgal
haañ dast-shanāsī pe baḌā naaz thā us ko
dekhā na gayā us se mire haat kā jañgal
ummīd kā ik peḌ ugaa.e nahīñ ugtā
ḳhud-rav hai magar zehn meñ shub.hāt kā jañgal
de tāqat-e-parvāz ki uupar se guzar jā.ūñ
kyuuñ raah meñ haa.il hai mirī zaat kā jañgal
ḳhvābīda haiñ is meñ ka.ī ayyār darinde
behtar hai ki jal jaa.e ye jazbāt kā jañgal
kuchh aur masā.il mirī jānib hue maa.il
kuchh aur harā ho gayā hālāt kā jañgal
tasvīr-e-ġhazal meñ se jhalaktā huā 'aslam'
ye shahr-e-suḳhan hai ki ḳhurāfāt kā jañgal