vahī ḳhvābīda ḳhāmoshī vahī tārīk tanhā.ī
tumheñ pā kar bhī koī ḳhaas tabdīlī nahīñ aa.ī
agar jaañ se guzar jā.ūñ to maiñ uupar ubhar aa.uuñ
ki lāshoñ ko ugal detī hai dariyāoñ kī gahrā.ī
khaḌā hai dasht-e-hastī meñ agarche naḳhl-e-jāñ lekin
gul-e-goyā.ī baaqī hai na koī barg-e-bīnā.ī
mohabbat meñ bhī dil vaale siyāsat kar ga.e 'aslam'
gale meñ haar Daale paañv meñ zanjīr pahnā.ī