Aslam Kolsarii

zalzale ka KHauf tari hai dar-o-diwar par

Aslam Kolsarii

Okara, Punjab, Pakistan

1946-2016
zalzale kā ḳhauf taarī hai dar-o-dīvār par
jabki maiñ baiThā huā huuñ kāñpte mīnār par
haañ isī raste meñ hai shahr-e-nigār-e-ārzū
aap chalte jā.iye mere lahū kī dhaar par
phir uḌā laa.ī havā mujh ko jalāne ke liye
zard patte chand sūkhī Tahniyāñ do-chār par
tā.ir-e-taḳh.īl kā saarā badan āzād hai
sirf ik patthar paḌā hai shīsha-e-minqār par
vaqt kā dariyā to in āñkhoñ se Takrātā rahā
apne hisse meñ na aayā lamha-e-dīdār par
saarā paanī chhāgaloñ se ābloñ meñ aa gayā
chilchilātī dhuup ke jalte hue isrār par
Top Urdushayar.com