ġham kī sauġhāt hai ḳhamoshī hai
chāñdnī raat hai ḳhamoshī hai
maiñ akelā nahīñ ki bāteñ hoñ
vo mire saat hai ḳhamoshī hai
merī barbādiyoñ kī sāzish meñ
zabt kā haat hai ḳhamoshī hai
kaisā aaseb hai ki har jānib
jashn-e-jazbāt hai ḳhamoshī hai
vaqt ke zaḳhm zaḳhm hoñToñ par
an-kahī baat hai ḳhamoshī hai
phir usī tarah garm māthe par
kāñptā haath hai ḳhamoshī hai
sub.h-e-nau ho ki shām-e-ġham 'aslam'
gosha-e-zāt hai ḳhamoshī hai