dayār-e-hijr meñ ḳhud ko to akasr bhuul jaatā huuñ
tujhe bhī maiñ tirī yādoñ meñ kho kar bhuul jaatā huuñ
ajab din the ki barsoñ zarb-e-ḳhushbū yaad rahtī thī
ajab din haiñ ki fauran zaḳhm-e-ḳhanjar bhuul jaatā huuñ
guzar jaatā huuñ ghar ke sāmne se be-ḳhayālī meñ
kabhī daftar ke darvāze pe daftar bhuul jaatā huuñ
isī baa.is baḌī chāhat se miltā huuñ ki maiñ akasr
judā hote hī chehra naam paikar bhuul jaatā huuñ
mujhe patthar kī sūrat hī sahī zinda to rahnā hai
so maiñ har vāqi.a manzar-ba-manzar bhuul jaatā huuñ
vo sab kuchh yaad rakhtā huuñ bhulānā jis kā behtar ho
magar jo yaad rakhnā ho sarāsar bhuul jaatā huuñ