jab maiñ us ke gaañv se bāhar niklā thā
har raste ne merā rasta rokā thā
mujh ko yaad hai jab us ghar meñ aag lagī
uupar se bādal kā TukḌā guzrā thā
shaam huī aur sūraj ne ik hichkī lī
bas phir kyā thā kosoñ tak sannāTā thā
maiñ ne apne saare aañsū baḳhsh diye
bachche ne to ek hī paisa māñgā thā
shahr meñ aa kar paḌhne vaale bhuul ga.e
kis kī maañ ne kitnā zevar bechā thā