sirf mere liye nahīñ rahnā
tum mire ba.ad bhī hasīñ rahnā
peḌ kī tarah jis jagah phūTā
umr-bhar hai mujhe vahīñ rahnā
mashġhala hai sharīf logoñ kā
sūrat-e-mār-e-āstīñ rahnā
dilī ujḌī udaas bastī meñ
chāhte the ka.ī makīñ rahnā
mar na jaa.e tumhārī phulvārī
qarya-e-zaḳhm ke qarīñ rahnā
muskurātā huuñ ādatan 'aslam'
kaun samjhe mirā ġhamīñ rahnā