iz.hār-e-junūñ bar-sar-e-bāzār huā hai
dil dast-e-tamannā kā giraftār huā hai
behosh-e-gunah jo dil-e-bīmār huā hai
ik shauq-e-talab sā mujhe talvār huā hai
sahrā-e-tamannā meñ mirā dil tujhe pā kar
shahr-e-havas-ālūd se bezār huā hai
behosh-e-ḳhirad ko junūñ āgāh karegā
ye jazb jo āmāda-e-paikār huā hai
maiñ vasl kī shab raqs-e-ġham-āmez karūñgī
ik dard mirā ham-shab-e-bedār huā hai
is darja nasha kab hai ki gumrāh rahūñ maiñ
ye hosh mirā dushman-e-dushvār huā hai
TuuTī hai ye kashtī to mire saath safar ko
vo jān-e-masāfat mirā tayyār huā hai
is ḳhūbī-e-qismat pe mujhe naaz bahut hai
vo shaḳhs mirī jaañ kā talabgār huā hai
maiñ ā.īna-e-dil ko sar-e-ḳhvāb hī toḌūñ
is dasht-e-shanāsā kā ye isrār huā hai
kuchh kaam kab aayā hai mirā girya-e-shab bhī
isrāf-e-dil-o-jāñ mirā be-kār huā hai