Tanveer Anjum

lamha-e-imkan ko pahlu badalte dekhna

Tanveer Anjum

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
lamha-e-imkān ko pahlū badalte dekhnā
ātish-e-be-rañg meñ ḳhud ko pighalte dekhnā
ishq meñ ye faisla hai is dil-e-saudā.ī kā
ḳhud ko girte dekhnā us ko sambhalte dekhnā
iztirāb-e-dard meñ had se guzar jaanā nahīñ
husn-e-shām-e-ārzū kā ruup Dhalte dekhnā
umr-e-be-andāz ko kaafī sahārā ho gayā
ḳhvāb-e-ḳhush-andāz us ke saath chalte dekhnā
reg-e-be-tadbīr meñ parvāz mahv-e-ḳhvāb hai
ik havā-e-tez meñ us ko machalte dekhnā
āsmāñ ai āsmāñ kyā merī qismat meñ nahīñ
us nigah meñ ḳhvāhishoñ kī aag jalte dekhnā
Top Urdushayar.com