jachtī nahīñ kuchh shāhī-o-imlāk nazar meñ
haiñ mehr-o-mah-o-anjum-o-aflāk nazar meñ
ik soz-e-fusūñ gar hai tirī aañkh meñ pinhāñ
hai dil ke liye shauq kā fitrāk nazar meñ
kyā ḳhuub ki kashkol faqīrī se hai aayā
ik ganj-e-girāñ-māya tah-e-ḳhāk-e-nazar meñ
ik ḳhvāb-e-sahar-sāz kā nāyāb ḳhazāna
daryāft kiyā hai tirī bebāk nazar meñ
kuchh aur kahāñ chāhiye is dil ko ki ab hai
dariyā-e-ġham-e-ishq kā pairāk nazar meñ
ye ḳhvāb hai sayyād kā yā ik dil-e-vahshī
ubhrā hai koī tā.ir-e-chālāk nazar meñ
sailāb shaqāvat ke muqābil hai tumhāre
ye fasl-e-mohabbat ḳhas-o-ḳhāshāk nazar meñ
khaa.e haiñ bahut mauj-e-muḳhālif ke thapeḌe
rakkhā hai bahut bahr-e-ḳhatarnāk nazar meñ
malbūs meñ 'anjum' ke haiñ paivand ke gauhar
kyuuñ Thahre ye kamḳhāb kī poshāk nazar meñ