kis tarah us ko bulā.ūñ ḳhāna-e-barbād meñ
dil ta.assur chāhtā hai be-sadā fariyād meñ
tīrgī-e-ḳhush-gumāñ hai jī jahāñ lagne lage
sham-e-vahshat ik jalā.ūñ is jahān-e-shād meñ
jāntī huuñ ye hikāyat fasl-e-barbādī kī hai
par matā-e-dil yahī hai sīna-e-nāshād meñ
vo misāl-e-ḳhvāb-e-rañgīñ ab kahāñ maujūd hai
so rahī huuñ maiñ abhī tak ḳhvāb-gāh-e-yād meñ
rishta-e-mub.ham ko phir se joḌtī hai soch ik
dil usī ko DhūñDhtā hai ek ḳhvāb-ābād meñ
ḳhush-nigāhī us harīf-e-jāñ kī yuuñ achchhī lage
maiñ taḌapnā bhī na chāhūñ panja-e-sayyād meñ
is ġham-e-vahshat-zada kā chāra-jū koī nahīñ
imtihān-e-zabt hai ik is ḳharāb-ābād meñ
har hisār-e-ḳhush-numā ko toḌtī jaatī huuñ maiñ
ek ḳhū-e-dasht-gardī hai mirī buniyād meñ