dukhoñ ke ruup bahut aur sukhoñ ke ḳhvāb bahut
tirā karam hai bahut par mire azaab bahut
tū kitnā duur bhī hai kis qadar qarīb bhī hai
baḌā hai hijr kā sahrā-e-pur-sarāb bahut
haqīqat-e-shab-e-hijrāñ ke raaz kho.e ga.e
tavīl din haiñ baḌe rāste ḳharāb bahut
chaleñge kitnā tire ġham ke saath saath qadam
shikanja-hā-e-zamāna haiñ be-hisāb bahut
utar gayā hai ḳhumār-e-sharāb-e-zāt kahīñ
hue haiñ gardish-e-daurāñ se faizyāb bahut