kabhī bahut hai kabhī dhyān terā kuchh kam hai
kabhī havā hai kabhī āñdhiyoñ kā mausam hai
abhī na toḌā gayā mujh se qaid-e-hastī ko
abhī sharāb-e-junūñ kā nasha bhī maddham hai
ki jaise saath tire zindagī guzartī ho
tirā ḳhayāl mire saath aaise paiham hai
tamām fikr-e-zamān-o-makāñ se chhūT ga.ī
siyāh-kārī-e-dil mujh ko aisā marham hai
maiñ ḳhud musāfir-e-dil huuñ use na rokuñgī
vo ḳhud Thahar na sakegā jo qaidī-e-ġham hai
vo shauq-e-tez-ravī hai ki dekhtā hai jahāñ
zamīñ pe aag lagī āsamān barham hai