Tanveer Anjum

kabhi wo misl-e-gul mujhe misal-e-Khaar chahiye

Tanveer Anjum

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
kabhī vo misl-e-gul mujhe misāl-e-ḳhār chāhiye
kabhī mizāj-e-mehrbāñ vafā-shi.ār chāhiye
jabīn-e-ḳhud-pasand ko sazā-e-dard yaad ho
sar-e-junūn-kosh meñ ḳhayāl-dār chāhiye
fareb-e-qurb-e-yār ho ki hasrat-e-supurdagī
kisī sabab se dil mujhe ye be-qarār chāhiye
ġham-e-zamāna jab na ho ġham-e-vajūd DhūñD luuñ
ki ik zamīn-e-jāñ jo hai vo dāġhdār chāhiye
vo āzmā.ish-e-junūñ vo imtihān-e-be-ḳhudī
vo sohbat-e-tabāh-kun phir ek baar chāhiye
Top Urdushayar.com