Tanveer Anjum

tariq koi na aaya mujhe zamane ka

Tanveer Anjum

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
tarīq koī na aayā mujhe zamāne kā
ki ek saudā rahā jins-e-dil luTāne kā
fareb-e-ḳhvāb mire rāste ko rok nahīñ
ki vaqt-e-shām hai ye ġham-kade ko jaane kā
tire vajūd se pahchān mujh ko apnī thī
tirā yaqīn thā mujh ko yaqīñ zamāne kā
ḳharāb-e-ishq huuñ ḳhud maut huuñ maiñ apne liye
sikhā rahī huuñ hunar ḳhud ko dil jalāne kā
har ek shāḳh-e-sitam se maiñ phuul toḌtī huuñ
huā hai shauq chaman-zār-e-ġham banāne kā
nasha ajiib hai is jañg-e-be-samar kā mujhe
ḳhumār ḳhuub hai ḳhūn-e-ḳhirad bahāne kā
shab-e-visāl meñ ik nuqta-e-tavaqquf huuñ
aur ik junūñ hai use manziloñ ko paane kā
dil-e-tabāh ko be-dām bech detī huuñ
ki kārobār hai ye jins-e-ġham kamāne kā
mujhe aziiz hai be-ehtiyātī-e-sāda
na shauq hai na hunar us ko āzmāne kā
qafas badan kā mujhe kuchh mirā subūt nahīñ
ye tā.ir-e-dil-o-jāñ lauT kar na aane kā
Top Urdushayar.com