tū samajhtā hai to ḳhud terī nazar gahrī nahīñ
varna buniyād-e-ḳhizāñ ai be-ḳhabar gahrī nahīñ
vasl-e-shīrīñ hai na jū-e-shīr hai tere nasīb
zarb ai farhād teshe kī agar gahrī nahīñ
ye bhī mumkin hai ki ḳhud terī navā ho narm-ḳhez
niiñd logoñ kī to ai murġh-e-sahar gahrī nahīñ
zindagī kī aaj qadreñ haiñ faqat gamloñ ke phuul
un meñ ra.anā.ī hai jaḌ un kī magar gahrī nahīñ
ham ne un āñkhoñ meñ akasr jhāñk kar dekhā 'sharīf'
koī shai marmūz itnī is qadar gahrī nahīñ