Sharif kunjahi

gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi

Sharif kunjahi

gulzār meñ vo rut bhī kabhī aa ke rahegī
jab koī kalī jaur ḳhizāñ ke na sahegī
insān se nafrat ke sharar bujh ke raheñge
sadiyoñ kī ye dīvār kisī din to Dhahegī
jis baap ne aulād kī bahbūd na sochī
us baap ko aulād ayaañ hai jo kahegī
tū june kī garmī se na ghabrā ki jahāñ meñ
ye lū to hamesha na rahī hai na rahegī
puḳhta tirā aivāñ ki mirā kachchā makāñ hai
sailāb 'sharīf' aayā to har chiiz bahegī
Top Urdushayar.com