Sharif kunjahi

faza-e-sehn-e-gulstan hai sogwar abhi

Sharif kunjahi

fazā-e-sehn-e-gulstāñ hai sogvār abhī
ḳhizāñ kī qaid meñ hai yūsuf-e-bahār abhī
abhī chaman pe chaman kā gumāñ nahīñ hotā
qabā-e-ġhuncha ko honā hai taar taar abhī
abhī hai ḳhanda-e-gul bhī agar to zer-e-labī
rukā rukā sā hai kuchh naġhma-e-hazār abhī
chaman to ḳhair chaman hai navā-garoñ ko nahīñ
ḳhud apnī shāḳh-e-nasheman pe iḳhtiyār abhī
abhī umiid kī sarsoñ kahīñ na phūlī
basant kā hai zamāne ko intizār abhī
tahī-subūī kisī kī ye kah rahī hai 'sharīf'
nizām-e-mai-kada badlegā ek baar abhī
Top Urdushayar.com