talāsh jin kī hai vo din zarūr ā.eñge
ye aur baat sahī ham na dekh pā.eñge
yaqīñ to hai ki khulegā na khul sakā bhī agar
dar-e-bahār pe dastak diye hī jā.eñge
ġhunūda rāhoñ ko tak tak ke sogvār na ho
tire qadam hī musāfir inheñ jagā.eñge
laboñ kī maut se bad-tar hai fikr-o-jazb kī maut
kidhar haiñ vo jo unheñ maut se bachā.eñge
tavīl raat bhī āḳhir ko ḳhatm hotī hai
'sharīf' ham na añdheroñ se maat khā.eñge