dhaḌkaneñ band-e-takalluf se zarā āzād kar
barmalā mumkin nahīñ dil meñ kisī ko yaad kar
zindagī ik dauḌ hai to saañs phūlegī zarūr
yā badal mafhūm is kā yā na phir fariyād kar
har ḳhizāñ kī kokh se hotī hai paidā nau-bahār
dāman-e-ummīd mailā aur na dil nāshād kar
bastiyāñ tū ne ḳhalāoñ meñ basā.īñ bhī to kyā
dil ke vīrānoñ ko dekh un ko bhī kuchh ābād kar