Sharif kunjahi

kitne nazuk kitne KHush-gul phulon se KHush-rang pyale

Sharif kunjahi

kitne nāzuk kitne ḳhush-gul phūloñ se ḳhush-rañg pyāle
ik badmast sharābī ne maiḳhāne meñ TukḌe kar Daale
mausamiyāt ke māhir hone ke to da.avedār sabhī haiñ
ham samjheñ jo habs ghaTā.e ham māneñ jo jhakkaḌ Taale
masnūī nelūnī phūloñ se gul-dān sajā.e jaa.eñ
aur qarabnīqoñ kā luqma ban jaa.eñ ḳhushbuoñ vaale
fir.aunoñ ke ghar hī un ke zahroñ ke tiryāq pale haiñ
rātoñ kī āġhosh hī paale ai dil surḳh saped ujāle
ham ko 'sharīf' ye puḳhta yaqīñ hai aaj agar haiñ kal na raheñge
rāhoñ meñ kāñTe hī kāñTe paañv meñ chhāle hī chhāle
Top Urdushayar.com