ḳhanjar se karo baat na talvār se pūchho
maiñ qatl huā kaise mire yaar se pūchho
farz apnā masīhā ne adā kar diyā lekin
kis tarah kaTī raat ye bīmār se pūchho
kuchh bhuul huī hai to sazā bhī koī hogī
sab kuchh maiñ batā dūñgā zarā pyaar se pūchho
āñkhoñ ne to chup rah ke bhī rūdād sunā dī
kyuuñ khul na sake ye lab-e-iz.hār se pūchho
raunaq hai mire ghar meñ tasavvur hī se jis ke
vo kaun thā 'rāhī' dar-o-dīvār se pūchho