arsa-e-māh-o-sāl se guzre
raat rāh-e-visāl se guzre
tum ki ahd-e-vafā nibhā ke 'mīr'
kitne rañj-o-malāl se guzre
aa shab-e-vasl muḳhtasar hai bahut
kaun shart-e-savāl se guzre
kyā batā.eñ ki tere kūche se
kis hunar kis kamāl se guzre
kaun thā vo ki jis kī chāhat meñ
ḳhvāb ban kar ḳhayāl se guzre
dasht-e-vahshat se tere dīvāne
kaise jāh-o-jalāl se guzre
gardish-e-vaqt tham ga.ī 'ādil'
tum jo shahr-e-misāl se guzre