ham tashaḳhḳhus kho rahe haiñ zaat kī tash.hīr meñ
ḳhud bikharte jā rahe haiñ koshish-e-tāmīr meñ
ye bhī socheñ kaash izzat kyā hai aur zillat hai kyā
vo jo rusvā ho rahe haiñ hasrat-e-tauqīr meñ
aaj naḳhl-e-maslahat kī chhāñv meñ hai mahv-e-ḳhvāb
parvarish jis kī huī thī sāya-e-shamshīr meñ
ai suḳhnavar tum jo kahte ho vo kyuuñ karte nahīñ
kyuuñ ham-āhañgī nahīñ kirdār aur tahrīr meñ
us kī sub.heñ dil-kushā haiñ us kī shāmeñ jāñ-fizā
kho gayā jo shaḳhs lutf-e-nāla-e-shab-gīr meñ
ho atā jis shaḳhs ko nūr-e-basīrat ai 'jalāl'
dekh letā hai musavvir ko bhī vo tasvīr meñ