Mirza Husain Ali Mehnat

hai ankhDiyon mein nind to ek kaam kijiye

Mirza Husain Ali Mehnat

hai añkhḌiyoñ meñ niiñd to ik kaam kījiye
ye bhī to ghar hai aap kā ārām kījiye
ye zo.af hai ki pahuñche hai tā-sub.h ruḳh talak
gar zulf par nigāh sar-e-shām kījiye
kal maiñ jo ye kahā ki kisī ke alam se aah
mar jā.iye bas aur na kuchh kaam kījiye
to vo sunā ke mujh ko ye kahtā hai ek se
kyā lutf hai kisī ko jo badnām kījiye
is zindagī se khīñchiye 'mehnat' gar apnā haath
phailā ke paañv zauq se ārām kījiye
Top Urdushayar.com