nāseh ye nasīhat na sunā maiñ nahīñ suntā
bak bak ke mirā maġhz na khā maiñ nahīñ suntā
ahvāl mirā dhyān se suntā thā va-lekin
kuchh baat jo samjhā to kahā maiñ nahīñ suntā
us but ne jo ġhairoñ pe kyā lutf to yaaro
mujh se na kaho bahr-e-ḳhudā maiñ nahīñ suntā
kuchh zikr meñ zikr apnā maiñ laayā to vo bolā
bas baat ko itnā na baḌhā maiñ nahīñ suntā
shikva se hī kartā jo koī us se mirā zikr
tū kahtā hai har ik kā gilā maiñ nahīñ suntā
'mehnat' ko hai ye zo.af ki kuchh apnī haqīqat
kahtā hai vo mujh se to zarā maiñ nahīñ suntā