na.e mausam kī bashārat haiñ ham
bazm-e-imkān kī zīnat haiñ ham
ham se kyā aañkh milā.eñ mah-o-mahr
zarra-e-ḳhāk kī azmat haiñ ham
ham se sairāb havā qarya-e-husn
chashm-e-be-tāb kī fitrat haiñ ham
apnā kyā hai ki rahe yā na rahe
haañ magar terī zarūrat haiñ ham
dastaras meñ hai jahān-e-sahrā
ahl-e-dil ahl-e-mohabbat haiñ ham
dhyān meñ rahtā hai vo mus.haf-e-gul
har ghaḌī mahv-e-ibādat haiñ ham