Arshad Mahmood Nashad

hum junun pesha ki rahte the teri zat mein gum

Arshad Mahmood Nashad

ham junūñ pesha ki rahte the tirī zaat meñ gum
ho ga.e silsila-e-gardish-e-hālāt meñ gum
arsa-e-vasl meñ bhī harf-e-tamannā na khulā
husn-e-ilhām rahā parda-e-āyāt meñ gum
aql añgusht-ba-dandāñ hai nazar hairāñ hai
kaun sī chiiz huī arz-o-samāvāt meñ gum
kitne kan.ān hue ḳhvāb-e-zuleḳhā meñ asiir
kitne yāqūb rahe hijr ke sadmāt meñ gum
koī mā.il-ba-samā.at na huā sad afsos!
naġhma-e-dard rahā sīna-e-jazbāt meñ gum
maiñ tire shahr se guzrā huuñ bagūle kī tarah
apnī duniyā meñ magan apne ḳhayālāt meñ gum
Top Urdushayar.com