maiñ ḳhaak chhāntā huuñ āftāb dekhtā huuñ
harīm-e-dasht meñ ḳhushbū ke ḳhvāb dekhtā huuñ
hisār-e-ġhair meñ rahtā hai ye makān-e-vajūd
maiñ ḳhalvatoñ meñ bhī akasr azaab dekhtā huuñ
ye kyā ki ahd-e-bahārāñ meñ har shajar be-barg
ye kyā ki fasl-e-ḳhizāñ meñ gulāb dekhtā huuñ
mire ḳhayāl meñ khilne lage haiñ zaḳhm-e-firāq
tumhāre lutf-o-karam kā hisāb dekhtā huuñ
varaq varaq pe tire ḳhāl-o-ḳhad haiñ aks-fagan
hujūm-e-yās meñ dil kī kitāb dekhtā huuñ
ye be-sabab to nahīñ gard-e-rahguzar 'nāshād'
talāsh-e-āb-e-ravāñ meñ sarāb dekhtā huuñ