sabz hai pairahan chāñd kā aaj phir
rañg-e-rukHsār hai surḳh sā aaj phir
kar ga.ī kaam terī adā aaj phir
sehn-e-gul ne kahā marhabā aaj phir
tere paikar ko chhū kar chalī aa.ī hai
marmarīñ hai badan raat kā aaj phir
le ke āġhosh meñ chāñd ko āsmāñ
muñh zamīñ ko chiḌhātā rahā aaj phir
yaad chandan-vanoñ se guzartī rahī
man meñ sandal mahaktā rahā aaj phir
dil kī nākāmiyāñ hī ḳhatā-vār haiñ
vo gunāhoñ kā hai devtā aaj phir
chāñd sūraj hue āmne-sāmne
imtihāñ sāgaroñ kā rahā aaj phir
aao 'ālok' sair-e-chaman ko chaleñ
uTh ke aa.ī hai kaalī ghaTā aaj phir