Alok Yadav

sarapa tera kya qayamat nahin hai?

Alok Yadav

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1967
sarāpā tirā kyā qayāmat nahīñ hai?
idhar hashr sī dil kī hālat nahīñ hai
mohabbat mirī kyā ibādat nahīñ hai
vo ik nuur hai jis kī sūrat nahīñ hai
tire in laboñ ko maiñ tashbīh kyā duuñ?
ki phūloñ meñ aisī nazākat nahīñ hai
hai chāhat kahūñ ruup terā ġhazal maiñ
magar mujh meñ husn-e-ḳhitābat nahīñ hai
bayāñ ho rahī hai jo āñkhoñ se terī
paḌhī maiñ ne aisī hikāyat nahīñ hai
vo jab boltā hai madhur boltā hai
kisī shai meñ aisī halāvat nahīñ hai
maiñ tārīf terī karūñ bhī to kaise?
zabān-o-bayāñ par vo qudrat nahīñ hai
hai 'ālok' merī ġhazal jān-e-mahfil
par us ko jo bhaa.e vo rañgat nahīñ hai
Top Urdushayar.com