har ek zehn meñ saarā hisāb rahtā hai
savāl sunñe se pahle javāb rahtā hai
vo ek moḌ jahāñ ek din luTā thā maiñ
vahīñ mirā dil-e-ḳhāna-ḳharāb rahtā hai
havā ke dam pe hai jab zindagī kā dār-o-madār
to kyuuñ ġhurūr tujhe ai habāb rahtā hai
chalegī chaal koī gardish-e-falak shāyad
ka.ī dinoñ se baḌā iztirāb rahtā hai
vo jholī kaise bhare pyaar karne vāloñ kī
isī firāq meñ TuuTā shahāb rahtā hai
mire liye haiñ musībat ye ā.ina-ḳhāne
yahāñ zamīr mirā be-naqāb rahtā hai
hasīn ḳhvāb hoñ kitne hī par koī 'ālok'
tamām umr kahāñ mahv-e-ḳhvāb rahtā hai