ik zarā sī chaah meñ jis roz bik jaatā huuñ maiñ
aa.ine ke sāmne us din nahīñ aatā huuñ maiñ
rañj ġham us se chhupātā huuñ maiñ apne laakh par
paḌh hī letā hai vo chehra phir bhī jhuTlātā huuñ maiñ
qarz kyā laayā maiñ ḳhushiyāñ zindagī se ek din
roz kartī hai taqāza aur jhuñjhlātā huuñ maiñ
hausla to dekhiye merā ġhazal kī khoj meñ
apne hī siine meñ ḳhanjar sā utar jaatā huuñ maiñ
de sazā-e-maut yā phir baḳhsh de tū zindagī
kashmakash se yaar terī saḳht ghabrātā huuñ maiñ
maun vo paḌhtā nahīñ aur shabd bhī suntā nahīñ
jo bhī kahnā chāhtā huuñ kah nahīñ paatā huuñ maiñ
ḳhvāb sach karne chalā thā gaañv se maiñ shahr ko
niiñd bhī kho kar yahāñ 'ālok' pachhtātā huuñ maiñ