mirī qurbatoñ kī ḳhātir yūñhī be-qarār hotā
jo mirī tarah use bhī kahīñ mujh se pyaar hotā
na vo is tarah badalte na nigāh pher lete
jo na bebasī kā merī unheñ e'tibār hotā
vo kuchh aise Dhaltā mujh meñ ki ġham us ke mere hote
vo jo sogvār hotā to maiñ ashk-bār hotā
mujhe chain lene detī kahāñ inqilābī fitrat
na musāhiboñ meñ hotā na maiñ shah kā yaar hotā
maiñ usī ke naam kartā ye hayāt maut sab kuchh
mujhe zindagī pe 'ālok' agar iḳhtiyār hotā