Alok Yadav

khula hai zist ka ek KHushnuma waraq phir se

Alok Yadav

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1967
khulā hai ziist kā ik ḳhushnumā varaq phir se
havā-e-shauq ne kī hai yahāñ pe daq phir se
pukārtā hai mujhe kaun mere maazī se
ki aaj ruḳh pe mire chhā ga.ī shafaq phir se
ḳhafā ḳhafā se haiñ āḳhir janāb-e-nāseh kyuuñ
kisī ne kar diyā kyā aaj zikr-e-haq phir se
kisī se ruuTh ga.e yā kisī kā dil toḌā
jabīñ pe aa gayā kyuuñ aap kī araq phir se
miyān-e-dil koī letī hai Tiis añgḌā.ī
vahī hai rañj vahī ġham vahī qalaq phir se
na niklo chāñdnī rātoñ meñ kitnī baar kahā
huā hai chāñd ke chehre kā rañg faq phir se
bas ek tajraba kaafī hai zindagī ke liye
paḌhā na jā.egā ham se vahī sabaq phir se
yahī nizām-e-zamāna yahī taġhayyur hai
jo sahl hai vahī ho jā.egā adaq phir se
kahīñ qarīb hī bādal baraste haiñ 'ālok'
havā.eñ laa.ī haiñ ḳhunkī kī kuchh ramaq phir se
Top Urdushayar.com